Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chaa.nd-suuraj kii bhii raushnii maa.nd hai jalva-e-ruu-e-abraar ke saamne

Jauhar Noori

MORE BYJauhar Noori

    chaa.nd-suuraj kii bhii raushnii maa.nd hai jalva-e-ruu-e-abraar ke saamne

    mushk-e-ambar kii bhii kuchh haqiiqat nahii.n mere kHushbuu-e-sarkaar ke samaane

    mai.n na chho.Duu.n kabhii daaman mustafaa aa bhii jaa.e agar sar pe merii qazaa

    jhuk chukaa sar jo pesh-e-habiib-e-kHudaa kyaa jhukegaa vo kuffaar ke saamne

    nikle faaruuq ghar se ye khaa kar qasam aap ke sar mubaarak ko karne qalam

    chaar aa.nKHe.n hu.ii jis gha.Dii aap se taab laa.e na sarkaar ke saamne

    thii nihgh-e-barq se bhii kahii.n tez-tar mere sarkaar kii duur-bii.n thii nazar

    maah-o-KHurshiid kii kuchh haqiiqat nahii.n jalva-e-ruu-e-abraar ke saamne

    aap to hai.n shahanshaah-e-har-do jahaa.n aap kii hai zamii.n aap kaa aasmaa.n

    chaa.nd suuraj sitaare aur kahkashaa.n sab hai.n be-nuur sarkaar ke saamne

    ye taraqqii hai 'jauhar' taraqqii nahii.n chaa.nd par hai pahu.nchne kii kaisii KHushii

    ek pal kii masaafat se bhii hai kam mere parvaaz sarkaar ke saamne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now