kaa'be me.n bhii hai garmi-e-baazaar-e-mohammad

allaah kaa darbaar hai darbaar-e-mohammad
ham aur samajhte the yahaa.n aur hii kuchh hai
kuchh parda-e-kaa'baa hai.n hai.n asraar-e-mohammad
sarkaar ke phero.n ke kiyaa karte hai.n phere
hai madd-e-nazar apne vo raftaar-e-mohammad
sarkaar ke chuume hu.e ko chuumte hai.n ham
hai pesh-e-nazar vo lab-o-rukHsaar-e-mohammad
yaad aatii hai har tauf ke har phere me.n ham ko
raftaar-e-mohammad kabhii guftaar-e-mohammad
kaa'ba kii siyah-poshii ye be-vaj.h nahii.n hai
hai partav-e-gesuu-e-tarah-daar-e-mohammad
har chiiz me.n har shakl se jalva hai numaayaa.n
hai aaTho.n pahar aa.nkho.n me.n diidaar-e-mohammad
kaunain lagaa.ii hu.ii duukaan-e-nabii hai
allaah KHariidaar hai baazaar-e-mohammad
kholo na ise raaz-e-jahaa.n is me.n bandhaa hai
ye boltii hai zulf-e-girah-vaar-e-mohammad
ham nuur hai.n ham nuur hai.n ham nuur hai.n ham nuur
har rag me.n hai.n phaile hu.e anvaar-e-mohammad
kyaa is ke sivaa aur mujhe 'izz-o-sharf ho
'Gausii' huu.n mai.n ik banda-e-sarkaar-e-mohammad

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.