Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kahaa.n ham se mumkin hai mid.hat alii kii

Syed Faizan Warsi

kahaa.n ham se mumkin hai mid.hat alii kii

Syed Faizan Warsi

kahaa.n ham se mumkin hai mid.hat alii kii

KHudaa jaantaa hai haqiiqat alii kii

karam ho ke shafqat ho 'aadat vahii hai

hai siirat mohammad kii siirat alii kii

diyaa apnaa bistar nabii ne alii ko

hai saabit yahaa.n se niyaabat alii kii

alii gar na hote umar bhii na hote

bataa.ii umar ne ye azmat alii kii

har ik ahl-e-iimaa.n ke aaqaa alii hai.n

hai sab par ujaagar ye shohrat alii kii

yahi hai.n nabii ke navaaso.n ke vaalid

bahut hii ba.Dii hai ye izzat alii kii

fasaahat hai qurbaa.n balaaGat hai naazaa.n

kuchh aisii hai shaan-e-KHitaabat alii kii

alii hii ke dam se shujaa.at kaa dam hai

bhare sab kii jholii saKHaavat alii kii

ko.ii Gaus ho qutub ho yaa qalandar

hai sab par muqaddam vilaayat alii kii

in aa.nkho.n kii qismat usii din khulegii

ke jab hogii in ko ziyaarat alii kii

hai iimaa.n kii buniyaad un kii mohabbat

so ham par hai vaajib mavaddat alii kii

ye vaaris alii kaa hai faizaan dekho

'asar' ko milii hai himaayat alii kii

kahaa.n ham se mumkin hai mid.hat alii kii

KHudaa jaantaa hai haqiiqat alii kii

karam ho ke shafqat ho 'aadat vahii hai

hai siirat mohammad kii siirat alii kii

diyaa apnaa bistar nabii ne alii ko

hai saabit yahaa.n se niyaabat alii kii

alii gar na hote umar bhii na hote

bataa.ii umar ne ye azmat alii kii

har ik ahl-e-iimaa.n ke aaqaa alii hai.n

hai sab par ujaagar ye shohrat alii kii

yahi hai.n nabii ke navaaso.n ke vaalid

bahut hii ba.Dii hai ye izzat alii kii

fasaahat hai qurbaa.n balaaGat hai naazaa.n

kuchh aisii hai shaan-e-KHitaabat alii kii

alii hii ke dam se shujaa.at kaa dam hai

bhare sab kii jholii saKHaavat alii kii

ko.ii Gaus ho qutub ho yaa qalandar

hai sab par muqaddam vilaayat alii kii

in aa.nkho.n kii qismat usii din khulegii

ke jab hogii in ko ziyaarat alii kii

hai iimaa.n kii buniyaad un kii mohabbat

so ham par hai vaajib mavaddat alii kii

ye vaaris alii kaa hai faizaan dekho

'asar' ko milii hai himaayat alii kii

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now