Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jo 'arsh par ga.e vo qadam aap hii ke hai.n

Kaif

MORE BYKaif

    jo 'arsh par ga.e vo qadam aap hii ke hai.n

    ye martabe KHudaa kii qasam aap hii ke hai.n

    hai aap hii ke naam se kaunain kaa vujuud

    kursii-e-’arsh lauh-o-qalam aap hii ke hai.n

    go be-sutuu.n kha.De hai.n zamii.n par sab aasmaa.n

    lekin sar un ke saat KHam aap hii ke hai.n

    ham 'aasiyo.n kii sharm-o-hayaa aap hii ko hai

    ham log yaa shafii'-e-umam aap hii ke hai.n

    'aasii hai.n yaa bure hai.n jo kuchh hai.n so hai.n huzuur

    lekin ye hai zaruur ki ham aap hii ke hai.n

    taa'riif aap hii kii KHudaa kar rahaa hai aap

    qur.aan me.n saaf vasf raqam aap hii ke hai.n

    fazl-e-KHudaa se rahmat-e-'aalam hai.n aap hii

    dono.n jahaa.n pe lutf-e-karam aap hii ke hai.n

    ai 'kaif' chal madiina jo rahnaa hai KHuld me.n

    kuuche to rashk-e-baaG-e-iram aap hii ke hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now