mai.n kyaa bataa.uu.n a'zmat-o-rif'at rasuul kii

maalik hii kar rahaa hai jo mid.hat rasuul kii
sarkaar-e-ambiyaa hii hai.n sardaar-e-do-jahaa.n
ye shaan aap kii ye hai azmat rasuul kii
un kaa laqab hai rahmat-e-a.alam jo momino
saare bashar ko mil ga.ii rahmat rasuul kii
qur.aan kaa payaam diyaa sab ko aap ne
saare jahaa.n me.n phailii hidaayat rasuul kii
ummat kii fikr rahtii thii har vaqt aap ko
kitnii hai KHush-nasiib ye ummat rasuul kii
gaalii bhii sun ke dete rahe vo du.aa 'kaliim'
thii sirf maGfirat hii kii 'aadat rasuul kii

- Book : Nazran-e-Resalat (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.