tumhaaraa ra.ng phuulo.n me.n to nuzhat hai bahaaro.n me.n

Kaleem Tahiri
MORE BYKaleem Tahiri
tumhaaraa ra.ng phuulo.n me.n to nuzhat hai bahaaro.n me.n
tumhaar jism-e-athar kii hai KHushbuu laala-zaaro.n me.n
tumhii.n kaunain ke sardaar ho shaah-e-do-'aalam tum
hu.aa hai chaa.nd do Tuk.De tumhaar hii ishaaro.n me.n
nabii tashriif laa.e dahr me.n to inqalaab aayaa
jahaa.n me.n ruuh aa.ii jaan aa.ii jaa.n-nisaaro.n me.n
nishaat-o-shaadmaanii aur sukuu.n raahat KHushii farhat
qaraar-e-dil ko baa.nTaa hai tumhii.n ne be-qaraaro.n me.n
hai.n tamsiil duniyaa me.n nahii.n paa.ii 'kaliim' un kii
vo laa-saanii hai.n laakho.n me.n vo laa-saanii hazaaro.n me.n

- Book : Nazran-e-Resalat (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.