Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

har dil me.n ik anokhaa dekhaa maqaam teraa

Kamil Shattari

MORE BYKamil Shattari

    har dil me.n ik anokhaa dekhaa maqaam teraa

    duniyaa badal badal kar letii hai naam teraa

    sab kii nazar hai tujh par sab par nazar hai terii

    sab ko muhiit dekhaa ehsaan-e-aam teraa

    terii rubuubiyat kii hai shaan hii niraalii

    miltaa hai sab ko sadqa bil-iltizaam teraa

    tauhiid kii nasha me.n rahtaa hai mast-o-be-KHud

    vo KHush-nasiib jis ko miltaa hai jaam teraa

    poshiida huu.n ki taahir hai.n jis qadar 'avaalim

    ik iqtidaar sab par hai laa-kalaam teraa

    suurat-garii ho us kii chaahe kisii bhii suurat

    rakhte to hai.n tasavvur sab KHaas-o-aam teraa

    ye kaa.enaat saarii hotii hai raam us kii

    jo ko.ii bil-iraada hotaa hai raam teraa

    ye us ke fazl kii hai saarii karishma-saazii

    maqbuul hai jo sab me.n 'kaamil' kalaam teraa

    Source :
    • Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 1)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now