ye dil huzuur pe qurbaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n

Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
ye dil huzuur pe qurbaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
zamiir pahle musalmaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
zabaa.n se laakh kaho laa-ilaaha il-lallaah
mohabbat shah-e-ziishaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
karam talab hai to maahaul pahle paidaa kar
ik ishtiyaaq-e-faraavaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
jino.n navaazaa hai mafhuum vazzuhaa vallail
nazar me.n ma.anii-e-furqaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
nazzaara-e-kaun kare husn-e-zaat-e-vaajib kaa
vujuud-e-'aalam-e-imkaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
nazar talab hai ba-sad ra.ng-e-husn sho.abada-baaz
agar firaasat-e-iimaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
nabii se 'ishq hii vallaah asl iimaa.n hai
hazaar kuchh ho jo iimaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
nazar milii hai faqat diid-e-mustafaa ke liye
nigaah jalva-ba-daamaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
KHudaa nasiib kare sab ko soz-e-'ishq-e-nabii
ye aag dil me.n farozaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n
chale hai.n aap ye kis kii talaash me.n 'kaamil'
KHud apne aap kaa 'irfaa.n nahii.n to kuchh bhii nahii.n

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.