kuchh aisii sifat kaa hai mai-kHaana mohammad kaa

laGzish me.n nahii.n laataa paimaana mohammad kaa
ik nuqs bharaa dil hai diivaana mohammad kaa
kis mu.nh se use kaa.e nazraana mohammad kaa
jannat ke khilauno.n se jii us kaa bahal jaaye
diivaana nahii.n itnaa diivaana mohammad kaa
hazrat ke fidaa.ii par qurbaan KHudaa.ii hai
hai sham.a-sifat har ik parvaana mohammad kaa
yaa tauq-e-mohabbat hai yaa ishq kii zanjiire.n
aataa hai ajab dhaj se diivaana mohammad kaa
yuu.n baada-parastii me.n umr apnii guzar jaa.e
tauhiid kii mai ho aur paimaana mohammad kaa
qurbaan do-a.alam hai us sha.m-e-risaalat par
har dil hai azal hii se par amaama mohammad kaa
ye daulat-e-uzmaa bhii qismat hii se miltii hai
allaah kare sab ko diivaana mohammad kaa
'kaamil' mirii vahshat ho sahraa-e-madiina ho
aur sab kii zabaan par ho diivaana mohammad kaa

- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.