Sufinama

saa.e me.n tumhaare daaman ke jis din se guzaaraa karte hai.n

Kamil Shattari

MORE BYKamil Shattari

    Interesting Fact

    منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)

    saa.e me.n tumhaare daaman ke jis din se guzaaraa karte hai.n

    sab apne 'amal par naazaa.n hai.n ham zo'm tumhaaraa karte hai.n

    hai apnaa vaziifa sub.h-o-masaa har haal me.n yaa Gaus-ul-a'zam

    jo naaz hamaare sahtaa hai ham us ko pukaaraa karte hai.n

    ik husn mukammal hotaa hai aur chashm-e-’aqiidat hotii hai

    ham aap ke ruu-e-anvar kaa jis vaqt nazaaraa karte hai.n

    aa.nkho.n me.n hamaare saaqii kii rahte hai.n chhalakte paimaane

    mai-KHvaar un aa.nkho.n kaa sadqa aa.nkho.n se utaaraa karte hai.n

    ye ahl-e-nazar ye dil vaale bante hai.n nishaana sab un kaa

    har tiir Thikaane lagtaa hai vo taak ke maaraa karte hai.n

    us banda-navaazii ke qurbaa.n ham un kii nazar ke sadqe me.n

    ik parda-nashii.n kaa ghar baiThe be-parda nazaaraa karte hai.n

    kuchh rabt-e-mohabbat ke Gurre kuchh pusht-panaahii ke bharre

    jab ko.ii nahii.n bhartaa haamii un ko pukaaraa karte hai.n

    furqat me.n kisii kii bechainii ham se to nahii.n dekhii jaatii

    kyaa apne kisii bande kii ta.Dap sarkaar gavaaraa karte hai.n

    duniyaa ke hasiino.n ko 'kaamil' mahbuub-e-KHudaa se kyaa nisbat

    vo KHud ko sa.nvaare rahte hai.n ye sab ko sa.nvaaraa karte hai.n

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 107)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now