'ishq-e-nabavii kyaa hai kaunain kii daulat hai

ye jis ko mayassar hai vo saaheb-e-qismat hai
diidaar KHudaa kaa hai diidaar-e-mohammad me.n
hai 'arsh-e-barii.n rauza-e-taiba mirii jannat hai
sab husn ke jalvo.n ne takmiil yahii.n paa.ii
bande me.n KHudaa.ii hai allaah kii qudrat hai
kis tarh guzartii hai kyaa 'arz kiyaa jaa.e
raushan shah-e-vaalaa par sab haal haqiiqat hai
sarkaar-e-akram hogaa phir us pe karam kiijiye
phir aap kaa diivaana mushtaaq-e-ziyaarat hai
be-misl ko apnaa kis tarh ko.ii samjhe
us barzaKH-e-kubraa ko allaah se nisbat hai
Taltii hai qazaa un kii abruu ke ishaare par
har chashm-e-karam goyaa ik aaya-e-rahmat hai
zaahid mai.n bataa.uu.n kyaa alfaaz nahii.n milte
sa.ng dar jaanaa.n par sajdo.n me.n jo lazzat hai
bhuulo na kahii.n apne 'kaamil' ko sar-e-mahshar
ye banda-e-'aasii bhii mohtaaj-e-shafaa'at hai

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 164)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.