jis ruup me.n bhii aa.e.n jalva hai aap hii kaa
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف۔ عراق)
jis ruup me.n bhii aa.e.n jalva hai aap hii kaa
ab is maqaam par hai zauq nazar kisii kaa
hubb-e-alii natiija hai husn aagahii kaa
maulaa pe jaan denaa maqsad hai zindagii kaa
hai zindagii hamaarii sarkaar hii ke dam se
dil kii har ek dha.Dkan sadqa hai aap hii kaa
mushkil me.n rabt un se fitrat kaa iqtizaa hai
har ek kii zabaa.n par na.ara hai yaa alii kaa
be-shak hai zaat us kii taskiin-e-jaan-e-paakaa.n
hai naam jis kaa haamil ik lutf-e-ma.anavii kaa
vo mazhar-ul-ajaa.eb sultaan-e-malik-e-dil hai.n
har ahl-e-dil ke dil par qabza hai aap hii kaa
yaarab kabhii to mai.n bhii pahu.nchuu.n dar-e-najaf tak
kab tak ye dukh uThaa.uu.n allaah naa-rasii kaa
be-rabt zindagii ik be-ruuh zindagii hai
vo zindagii nahii.n hai dhokaa hai zindagii kaa
duniyaa-e-ishq saarii juz vaardaat kyaa hai
kyaa daKHl is jahaa.n me.n ta'liil mantiqii kaa
qaabil to mai.n nahii.n thaa is fazl is karam ke
shukr-e-KHudaa ki mai.n bhii mahsuud huu.n kisii kaa
qurbaan un pe jaane kitno.n kii zindagii hai
jin ko ajal ne baKHshaa parvaana zindagii kaa
takmiil-e-abadiyat hai kaamil isii me.n apnii
banda vahii KHudaa kaa banda hai jo alii kaa

- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.