nigaah-e-lutf ke saa.nche me.n Dhal rahaa huu.n mai.n

kabhii thaa sa.ng magar ab pighal rahaa huu.n mai.n
safiina Duub hii jaataa Gamo.n ke tuufaa.n me.n
teraa karam hai bha.nvar se nikal rahaa huu.n mai.n
ye KHaas vaaris-e-'aalam kaa hai karam mujh par
rah-e-gunaah se ab bach ke chal rahaa huu.n mai.n
inaayate.n hai.n tumhaarii miraa muqaddar hai
paka.D ke daaman-e-aqdas machal rahaa huu.n mai.n
na jaane kaun se patthar se jaake Takraataa
navaazisho.n se terii ab sambhal rahaa huu.n mai.n
gumaan guzartaa hai yaa vaaqa.'ii sadaaqat hai
ab un ke naqsh-e-qadam par hii chal rahaa huu.n mai.n
hujuum Gam me.n bhii 'kaamil' ko iztiraab nahii.n
hai saamne ruKH-e-zebaa bahal rahaa huu.n mai.n

- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 115)
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.