kare.n kyuu.n na aasii vahii.n par basere
kare.n kyuu.n na aasii vahii.n par basere
jahaa.n un kii rahmat ne Daale hai.n Dere
qasam hai KHudaa kii vo un kii galii hai
jahaa.n taaj vaale lagaate hai.n phere
tasavvur kii raaho.n se hai aanaa-jaanaa
madiine ke har-dam lagaate hai.n phere
mujhe kyaa kamii mai.n bhikaarii huu.n us kaa
jo pal me.n zamaane kii taqdiir phere
pai-e-na.at-e-sarkaar shabnam se Gunche
vuzuu kar rahe hai.n savere savere

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 191)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.