dil-o-jaa.n se malak qurbaan-e-vaaris
Interesting Fact
(ماہنامہ ’’صحیفۂ وارث‘‘ دیویٰ شریف)
dil-o-jaa.n se malak qurbaan-e-vaaris
bashar kyaa jaane.n izz-o-shaan-e-vaaris
jise chaahe.n banaa.e.n yaa bigaa.De.n
zamaana taabe-e-farmaan-e-vaaris
malak samjhe hai.n jis ko charKH-e-hashtum
vahii hai gumbad-e-aivaan-e-vaaris
gul-e-tauhiid-e-irfaa.n khil rahe hai.n
phalaa-phuulaa hai kyaa bustaan-e-vaaris
savaa neze pe hai KHurshiid-e-mahshar
madad ai saaya-e-daamaan-e-vaaris
kaliim-ullaah barq-e-tuur samjhe.n
agar chamke ruKH-e-taabaan-e-vaaris
vahii haajat-ravaa-e-be-kasaa.n hai.n
zamaana-bhar pe hai ehsaan-e-vaaris
dikhaa ai jalva barq-e-tajallii
faroG-e-aariz-e-ruKHshaan-e-vaaris
dil-e-'kausar' rahe uljhan me.n kab tak
madad ai gesuu-e-pechaan-e-vaaris
dil-o-jaa.n se malak qurbaan-e-vaaris
bashar kyaa jaane.n izz-o-shaan-e-vaaris
jise chaahe.n banaa.e.n yaa bigaa.De.n
zamaana taabe-e-farmaan-e-vaaris
malak samjhe hai.n jis ko charKH-e-hashtum
vahii hai gumbad-e-aivaan-e-vaaris
gul-e-tauhiid-e-irfaa.n khil rahe hai.n
phalaa-phuulaa hai kyaa bustaan-e-vaaris
savaa neze pe hai KHurshiid-e-mahshar
madad ai saaya-e-daamaan-e-vaaris
kaliim-ullaah barq-e-tuur samjhe.n
agar chamke ruKH-e-taabaan-e-vaaris
vahii haajat-ravaa-e-be-kasaa.n hai.n
zamaana-bhar pe hai ehsaan-e-vaaris
dikhaa ai jalva barq-e-tajallii
faroG-e-aariz-e-ruKHshaan-e-vaaris
dil-e-'kausar' rahe uljhan me.n kab tak
madad ai gesuu-e-pechaan-e-vaaris
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 89)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.