KHalaq ke servar shaafa-e-mahshar sallaaho alaihe-vasallam

mursal-e-daavar-e-KHaas payambar sallaaho alaihe-vasallam
nuur-e-mujassam nayyar-e-aazam survar-e-aalam muunis-e-aadam
nuuh ke hamdam KHizr ke rahbar sallaaho alaihe-vasallam
faKHr-e-ayaa.n hai.n arsh-e-makaa.n hai.n shaah-e-shahaa.n hai.n saif-e-zabaa.n hai.n
sab pe ayaa.n hai.n aap ke jauhar sallaaho alaihe-vasallam
bahar-e-saKHaavat kaan-e-muravvat aaya-e-rahmat shaafe.a-e-ummat
maalik-e-jannat qaasim-e-kausar sallaaho alaihe-vasallam
qibla-e-aalam ka.aba-e-aazam sab se muqaddam raaz ke mahram
jaan-e-mujassam ruuh-e-musavvir sallaaho alaihe-vasallam
daulat-e-duniyaa KHaak baraabar haath ke KHaalii dil ke tava.ngar
maalik-e-kishvar taKHt na afsar sallaaho alaihe-vasallam
rahbar-e-muusaa haadii-e-iisaa taarik-e-duniyaa malak-e-uqbaa
haath kaa takiya KHaak kaa bistar sallaaho alaihe-vasallam
sarv-e-KHiraamaa.n chehra gulistaa.n jibh-e-taabaa.n mehr-e-daraKHshaa.n
sumbul-e-pechaa.n zulf-e-mo.ambar sallaaho alaihe-vasallam
chashma-e-jaarii KHaassa-e-baarii gard-savaarii baad-e-bahaarii
aa.iina-daarii faKHr-e-sikandar sallaaho alaihe-vasallam
mehr se mamluu resha resha ne.amat 'amiir' apnaa hai pesha
dard hamesha rahtaa hai aksar sallaaho alaihe-vasallam

- Book : Mahamid-e-Khatimun Nabiyyin (Pg. 69)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Munshi Nawalkishor, Lucknow (1930)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.