Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Gam sabhii raahat-o-taskiin me.n Dhal jaate hai.n

Khalid Mahmood Naqshbandi

MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi

    Gam sabhii raahat-o-taskiin me.n Dhal jaate hai.n

    jab karam hotaa hai haalaat badal jaate hai.n

    un kii rahmat hai KHataa-posh gunahgaaro.n kii

    khoTe sikke sar-e-baazaar bhii chal jaate hai.n

    ism-e-ahmad kaa vaziifa hai har ik Gam kaa 'ilaaj

    laakh KHatre ho.n isii naam se Tal jaate hai.n

    aap ke zikr se ik kaif milaa karataa hai

    aur jitne bhii hai.n asraar vo khul jaate hai.n

    apnii aaGosh me.n le letaa hai jab un kaa karam

    zindagii ke sabhii andaaz badal jaate hai.n

    'ishq kii aa.nch se dil kyuu.n na banegaa kaa'ba

    'ishq kii aa.nch se patthar bhii pighal jaate hai.n

    rakh hii lete hai.n bharam un ke karam ke sadqe

    jab kisii baat pe diivaane machal jaate hai.n

    dam nikal jaa.e terii yaad me.n phir ham bhii kahii.n

    lillaahil-hamd liye husn-e-'amal jaate hai.n

    aa pa.De hai.n tire qadmo.n me.n ye sun kar ham bhii

    jo tire qadmo.n pe girte hai.n sambhal jaate hai.n

    ummat-e-ahmad-e-muKHtaar nahii.n ho sakte

    aur hai.n aur jahannam me.n jo jal jaate hai.n

    mutma.in ho.nge magar dekh ke jalva un kaa

    ham nahii.n vo jo khilauno.n se bahal jaate hai.n

    yaad un kii badal un kaa nahii.n hone paatii

    hijr ke shaam-o-sahar pyaar me.n khil jaate hai.n

    aap ko kaa'ba-e-maqsuud hii maano 'KHaalid'

    aap ke dar pe sab armaan nikal jaate hai.n

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now