Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ma.ngte hai.n karam un kaa sadaa maa.ng rahe hai.n

Khalid Mahmood Naqshbandi

MORE BYKhalid Mahmood Naqshbandi

    ma.ngte hai.n karam un kaa sadaa maa.ng rahe hai.n

    din-raat madiine kii du'aa maa.ng rahe hai.n

    har ne'amat-e-kaunain hai daaman me.n hamaare

    ham sadqa-e-mabuub-e-kHudaa maa.ng rahe hai.n

    ai dard-e-mohabbat abhii kuchh aur fuzuu.n ho

    diivaane ta.Dapne kii adaa maa.ng rahe hai.n

    yuu.n kho ga.e sarkaar ke altaaf-o-karam me.n

    ye bhii to nahii.n hosh ki kyaa maa.ng rahe hai.n

    asraar karam ke faqat un par hii khule hai.n

    jo tere vasiile se du'aa maa.ng rahe hai.n

    sarkaar kaa sadqa mere sarkaar kaa sadqa

    muhtaaj-o-Ganii shaah-o-gadaa maa.ng rahe hai.n

    is daur-e-taraqqii me.n bhii zehno.n ke a.ndhere

    KHurshiid-e-risaalat kii ziyaa maa.ng rahe hai.n

    ye maan liyaa hai ki teraa dard hai darmaa.n

    taalib hai.n shifaa ke na davaa maa.ng rahe hai.n

    ham ko bhii mile daulat diidaar kaa sadqa

    diidaar kii jur.at bhii shahaa maa.ng rahe hai.n

    kam maa.ng rahe hai.n na sivaa maa.ng rahe hai.n

    jaisaa hai Ganii vaisii 'ataa maa.ng rahe hai.n

    sarkaar se sarkaar ko maa.ngaa nahii.n jaataa

    itnii ba.Dii sarkaar se kyaa maa.ng rahe hai.n

    daamaan-e-'amal me.n ko.ii nekii nahii.n 'KHaalid'

    bas na.at-e-mohammad kaa sila maa.ng rahe hai.n

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now