rahmat-o-nuur kii har samt ghaTaa chhaa.ii hai

Khalid Nadeem Badayuni
MORE BYKhalid Nadeem Badayuni
rahmat-o-nuur kii har samt ghaTaa chhaa.ii hai
jab se sarkaar ke aane kii KHabar aa.ii hai
aayato.n ne tirii tausiif jo dohraa.ii hai
vo tirii shaan hai tauqiir hai yaktaa.ii hai
ye Gazal hai na qasiida na ye chaupaa.ii hai
mid.hat-e-shaah-e-madiina kii ye raa'naa.ii hai
jab tuu aayaa hai safiine kaa muhaafiz ban kar
mauj-e-tuufaa.n bhii tire naam se katraa.ii hai
Guncha-o-gul ko usii ne to 'ataa kii KHushbuu
jis ke aane se gulistaa.n me.n bahaar aa.ii hai
kaun hai jo kisii miskiin kaa kaasa bhar de
un ke darbaar me.n naadaar kii sunvaa.ii hai
apne aaqaa kii mai.n tausiif-o-sanaa karataa huu.n
merii baKHshish kii to tarkiib nikal aa.ii hai
charKH par chaa.nd hai masruuf tavaaf-e-rauza
chaa.ndnii aap ke aa.ngan me.n utar aa.ii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.