mere dil kaa chain aa.nkho.n kii basaarat hai.n batuul

Khalid Nadeem Badayuni
MORE BYKhalid Nadeem Badayuni
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت فاطمہ زہرا (مدینہ-سعودی عرب)
mere dil kaa chain aa.nkho.n kii basaarat hai.n batuul
fikr-o-fan kii aur tasavvur kii tahaarat hai.n batuul
sabr-o-istiqlaal taqvaa ke ma'aanii jis me.n hai.n
us kitaab-e-zindagii kii shaan-o-rif’at hai.n batuul
naazish-e-sharm-o-hayaa hai.n aur vafaa kii taajvar
kanz-e-iimaa.n bahr-e-ikHlaas-o-mohabbat hai.n batuul
tarbiyat jis se hu.ii hai shabbr-o-shabbiir kii
jaa.n-nisaarii ke sabaq kii vo 'ibaarat hai.n batuul
is liye hai un ke dar par aarzuu.o.n kaa hujuum
markaz-e-lutf-o-karam bahar-e-saKHaavat hai.n batuul
be-zabaano.n kii zabaa.n hai.n Gam ke maaro.n kaa bharam
chaarasaaz-e-zaKHm-e-dil taskiin-o-raahat hai.n batuul
dukHtar-e-shaah-e-umam hai.n zauja-e-maulaa 'alii
maadar-e-shabbiir-o-shabbar fakHr-e-jannat hai.n batuul
jis ko sun kar jaag jaa.e ahl-e-baatil kaa zamiir
jazba-e-iisaar kii aisii zamaanat hai.n batuul
is liye dil par nahii.n hai dosraa ko.ii bhii ra.ng
shabbr-o-shabbiir ke parcham kii ra.ngat hai.n batuul
laala-zaar-e-mustafaa me.n jis se aa.ii hai bahaar
vo muqaddas aabshaar-e-diin-o-sunnat hai.n batuul
aadmii ko zindagii bhar jis kii rahtii hai talaash
diin-e-haq kaa vo nishaan-e-istaqaamat hai.n batuul
ai KHudaa mehr-o-vafaa se log KHaalii ho ga.e
bhej de phir 'ahd-e-haazir kii zaruurat hai.n batuul
is liye 'KHaalid' hisaab-e-hashr kaa khaTkaa nahii.n
ham gunahgaaro.n kii mahshar me.n zamaanat hai.n batuul

- Book : Anwar-e-Karbala (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.