Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rab jis ke uThaa.e naaz-o-ne'am yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

Khalid Nadeem Badayuni

MORE BYKhalid Nadeem Badayuni

    rab jis ke uThaa.e naaz-o-ne'am yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    vo zaat hai terii bahr-e-karam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    dhartii pe rakhe jab tum ne qadam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    KHud TuuT ga.e kaa'be ke sanam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    naadaar kii jholii bharne ko KHud josh pe rahmat aa jaa.e

    ho jaa.e jo terii chashm-e-karam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    darbaar-e-madiina kii jaanib jab shauq-e-tamannaa le jaa.e

    mai.n chuum luu.n un ke naqsh-e-qadam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    phir sidq-o-safaa ke gulshan me.n iimaan kii kaliyaa.n khil jaa.e.n

    phir 'ishq-o-mohabbat ho baaham yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    tum 'arsh-e-'alaa kii 'azmat ho tum Gaar-e-hiraa kii ziinat ho

    hai tum se munavvar har ’aalam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    vo raah munavvar ho jaa.e vo raah mo'attar ho jaa.e

    jis raah pe rakkhe.n aap qadam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    har lafz munavvar ho jaa.e har lafz mo'attar ho jaa.e

    jab naa't likhe 'KHaalid' kaa qalam yaa shaah-e-umam yaa shaah-e-umam

    Source :
    • Book : Anwar-e-Karbala (Pg. 21)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now