tumhe.n likkhuu.n to kyaa likhuu.n do-'aalam kii banaa tum ho

Khalid Nadeem Badayuni
MORE BYKhalid Nadeem Badayuni
tumhe.n likkhuu.n to kyaa likhuu.n do-'aalam kii banaa tum ho
nubuvvat kii chamak tum ho risaalat kii ziyaa tum ho
ye mai.n hargiz nahii.n kahtaa do-’aalam ke KHudaa tum ho
magar ye bhii haqiiqat hai KHudaa se kab judaa tum ho
KHataa-kaaro.n ke ho.nTo.n par sar-e-mahshar yahii hogaa
karam kii ibtidaa tum ho karam kii intihaa tum ho
hame.n kyuu.n KHauf ho KHurshiid-e-mahshar kii tamaazat kaa
hamaare sar pe jab rahmat kii nuuraanii ridaa tum ho
yahaa.n bhii saarii ummat ne tumhe.n saalaar maanaa hai
qayaamat me.n bhii kah de.nge hamaare peshvaa tum ho
mire rab ne shafaa'at kaa tumhe.n duulhaa banaayaa hai
mai.n us buute pe kahtaa huu.n ki jannat kaa pata tum ho
'alii ke haath se ik pal me.n chaknaachuur hote hii
dar-e-KHaibar ye kahtaa hai 'alii kaa dabdaba tum ho
tumhe.n mid.hat-saraa.ii kaa milaa hassaan ye tohfa
nabii ke mad.h-kHvaano.n me.n ’aziimul-martaba tum ho
ye mansab baadshaaho.n ke muqaddar me.n kahaa.n 'KHaalid'
nabii ke ummatii tum ho Gulaam-e-mustafaa tum ho

- Book : Anwar-e-Karbala (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.