Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHayaal kar ke jo mai.n ne dekhaa usii kii suurat chamak rahii hai

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    KHayaal kar ke jo mai.n ne dekhaa usii kii suurat chamak rahii hai

    usii kaa naqsha hai chaar-jaanib usii kii ra.ngat damak rahii hai

    tumhaare faiz-e-qadam se jaanaa hu.aa hai sarsabz baaG-e-aalam

    tamaam is gulshan-e-jahaa.n me.n tumhaarii KHushbuu mahak rahii hai

    na dard jaa.egaa chaaraa-saazo abas tumhaarii hai fikr-o-koshish

    kisii hasii.n kii ye nok-e-mizhgaa.n hamaare dil me.n khaTak rahii hai

    ye baaG-e-aalam me.n ra.ng dekhaa ko.ii hai Gamgii.n ko.ii hai KHandaa.n

    kahii.n hai shor-o-fuGaa.n kahii.n pe bulbul chahak rahii hai

    ajab tarah kii ye kashmakash hai ki ham ko hai intizaar-e-jaanaa.n

    kamar ko baa.ndho uThaa.o bistar ajal sirhaane ye bak rahii hai

    basii gulo.n me.n usii kii buu hai parii-vasho.n me.n usii ki KHuu hai

    buto.n ke parde me.n dekh 'aughaT' usii kii suurat jhalak rahii hai

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 2)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now