Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHudaa kaa har tasavvur zehn-e-insaanii kii KHallaaqii

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    KHudaa kaa har tasavvur zehn-e-insaanii kii KHallaaqii

    ye KHallaaqii hai ra.ng-e-anfusii-o-ra.ng-e-aafaaqi

    KHudaa kii zaat 'aalii anfus-o-aafaaq se baalaa

    har ik taq.iid se baalaa har ik itlaaq se baalaa

    vo laa-mahduud hai mahduud us kii zaat kyaa jaane

    vo KHaaliq hai bhalaa maKHluuq us kii baat kyaa jaane

    KHudaa ghere hu.e hai ham ko ghir saktaa nahii.n ham se

    KHabar kyaa kaif-o-kam ko hastii-e-be-kaif-o-bekam se

    rasaa.ii kunad zaat-e-haqq-e-ta'aalaa tak kahaa.n apnii

    KHayaal-aaraa.iyaa.n apnii qayaas-aaraa.iyaa.n apnii

    ham apne vahm kii maKHluuq ko KHaaliq bataate hai.n

    KHudaa ham ko banaataa hai KHudaa ko ham banaate hai.n

    jo paidaa karne vaalaa hai vo paidaa ho nahii.n saktaa

    jo KHaaliq hai vo ho maKHluuq aisaa ho nahii.n saktaa

    haqiiqat kii KHabar jab maa-sivaa ko ho nahii.n saktii

    KHudaa kii ma.arifat Gair-e-KHudaa ko ho nahii.n saktii

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now