KHudaa ke naam se raushan hai naam-e-’abdullaah

Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت شاہ عبداللہ بغدادی (رامپور-اتر پردیش)
KHudaa ke naam se raushan hai naam-e-’abdullaah
kalaam-e-mustafvii hai kalaam-e-’abdullaah
ye ibn-e-Gaus hai.n jaan-e-’alii hai.n sibt-e-rasuul
buland sab se na ho kyuu.n maqaam-e-’abdullaah
hai kaa'ba-e-dil-o-jaa.n sajda-gaah-e-jinn-o-malak
vo KHaak jis pe hu.aa hai qiyaam-e-abdullaah
KHudaa se bhiik adab kii mai.n maa.ng letaa huu.n
zabaa.n pe merii jab aataa hai naam-e-’abdullaah
faqiir aap ke dar kaa kisii se kyaa maa.nge
kisii ke dar pe jhuke kyuu.n Gulaam-e-abdullaah
kahaa hai piir-e-muGaa.n ne ye mujh se ai 'maikash'
bahut hai tere liye durd-e-jaam-e-’abdullaah

- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.