Sufinama

KHvaaja jii mahaaraaja jii tum ba.Do Gariib navaaz

Unknown

MORE BYUnknown

    KHvaaja jii mahaaraaja jii tum ba.Do Gariib navaaz

    apnaa kar ke raakhiyo tohe baa.nh pak.De kii laaj

    KHvaaja mujh me.n augun bahut hai.n tuu hii to hai Gariib navaaz

    chuu.Diyaa.n pahnaa.ii chunariyaa a.Dhaa.ii

    KHaalii dulhaniyaa banaa.ii

    merii chuu.Diyo.n kii laaj KHvaaja rakhnaa

    ye to pahan liyaa ab utarat naa

    tero haath hai mero suhaag KHvaaja

    mai.n to jobanaa tum pe luTaa baiThii

    itnaa shadiid Gam hai ki ehsaas-e-Gam nahii.n

    kaise kahuu.n ki aap kaa mujh pe karam nahii.n

    manzil mujhe mile na mile is kaa Gam nahii.n

    tum saath saath ho mere ye bhii to kam nahii.n

    ai aane vaale apnii jabii.n ko jhukaa ke aa

    ye aastaan-e-yaar hai sahan-e-haram nahii.n

    jab tak bike na the to ko.ii puuchhtaa na thaa

    tum ne KHariid kar hame.n anmol kar diyaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now