Sufinama

gauhar hai 'ilm kaan-e-janaab-e-amiir kaa

Khwaja Nasiruddin Chishti

MORE BYKhwaja Nasiruddin Chishti

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)

    gauhar hai 'ilm kaan-e-janaab-e-amiir kaa

    allaah re rutba shaan-e-janaab-e-amiir kaa

    jis ne ki dam me.n qil’a-e-KHabiir giraa diyaa

    ek tiir thaa kamaan-e-janaab-e-amiir kaa

    vo KHuld jis pe hazrat-e-rizvaa.n ko naaz hai

    hai phuulii gulistaan-e-janaab-e-amiir kaa

    raj.at jo aaftaab ne vaqt-e-Guruub kii

    vaabasta thaa bunaan-e-janaab-e-amiir kaa

    jis kaa KHudaa ne rakkhaa hai 'arsh-e-barii.n laqab

    ziina hai vo makaan janaab amiir kaa

    saaya jis aaftaab kaa hai mashriqain par

    parcham hai vo makaan-e-janaab-e-amiir kaa

    ne'amat ke jis bisaat par rizvaa.n ko hai ghamanD

    hai ek reza-KHvaan-e-janaab-e-amiir kaa

    ruuh-ul-amii.n kaa qurbat-e-haq me.n hai raahbar

    kyaa rutba paasbaan-e-janaab-e-amiir kaa

    naamuus-e-ahl-e-bait pe ai KHizr rahm kar

    kar KHauf ’izv-o-shaan-e-janaab-e-amiir kaa

    tum ne jise husain samajh kar kiyaa hai qatl

    vo jaan thaa jahaan-e-janaab-e-amiir kaa

    naaseh kii tarh kahtaa hai 'naasir' bhii faKHr se

    bulbul huu.n bostaan-e-janaab-e-amiir kaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now