naam un kaa kisii ne liyaa jis gha.Dii ham mohabbat se palke.n jhukaane lage

Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
naam un kaa kisii ne liyaa jis gha.Dii ham mohabbat se palke.n jhukaane lage
lab pe aayaa jo naam mohammad mire sab duruudo.n kii Daalii sajaane lage
jab madiine kii jaanib mai.n chalne lagaa dil KHushii se miraa yuu.n machalne lagaa
kaifiiyat mere dil kii badal sii ga.ii mere jazbaat bhii muskuraane lage
sabz gumbad kii jaanib nazar jab uThii dil kii haalat KHudaa hii ko maa'luum hai
kyaa bataanaa thaa kyaa kyaa bataane lage apnaa dukh.Daa unhe.n ham sunaane lage
un kii yaado.n me.n rahte the kho.e hu.e Gam ke aa.nsuu se aa.nkhe.n bhigo.e hu.e
ham ne aa.nkho.n se dekhaa jo shahr-e-haram apnii qismat pe KHushiyaa.n manaane lage
merii fikro.n kii tathiir shahr nabii mere KHvaabo.n kii taa'biir shahr nabii
mujh ko taiba me.n jaakar sukuu.n mil gayaa saare manzar vahaa.n ke suhaane lage
aaj bhii un kaa darbaar aa.nkho.n me.n hai aaj bhii un kaa rauza nigaaho.n me.n hai
haal-e-dil jab unhe.n mai.n sunaane lagaa log diivaana mujh ko bataane lage
faasle Das rahe the hame.n duur se ham bhii 'shaayaan' rahte the mahjuur se
phir mohabbat kaa ik din saveraa hu.aa ham bhii qismat se taiba ko jaane lage

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.