Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mahbuub-e-jahaa.n mahbuub-e-KHudaa mahbuub-e-malaa.ek salle-alaa

Khwaja Shayan Hasan

MORE BYKhwaja Shayan Hasan

    mahbuub-e-jahaa.n mahbuub-e-KHudaa mahbuub-e-malaa.ek salle-alaa

    har husn me.n shaamil terii ziyaa ai shaafe'-e-mahshar roz-e-jazaa

    man-hastii-e-naaqis pur ba-KHataa tuu zaat-e-muqaddas nuur-e-hudaa

    ausaaf-e-mohammad sidq-o-safaa akHlaaq-e-kariima kyaa a.alaa

    jab naam-e-mohamaad lete hai.n har harf se KHushbuu aatii hai

    har baat niraalii hai un kii har aan hai lab par zikr-e-KHudaa

    vo shaah-e-arab vo shaah-e-ajam aflaak se aage un ke qadam

    vo rahmat-e-a.alam sarvar-e-dii.n alqaab hai.n un ke sab se judaa

    ai jaan-e-jahaa.n manzuur-e-nazar maqsuud-e-safar matluub-e-'amal

    diivaana shudam dar yaad-e-tuu ai haadii-e-a.alam salle-alaa

    duniyaa kii hame.n kuchh fikr nahii.n uqbaa pe nazar hai ham sab kii

    bas aap shafaa.at kar diije ai shaafe.a-e-ummat rab kii razaa

    ai saaqii-e-kausar maah-e-mubii.n ummat pe zaraa ho nazar-e-karam

    mahruum hai.n ham mazluum hai.n ham kab hogii ham par rab kii ataa

    kyaa mad.h karuu.n sarkaar kii mai.n 'shaayaan'-e-nabii alfaaz nahii.n

    kyaa shaan-e-rasuul-e-azam hai vo ban ke ga.e mehmaan-e-KHudaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now