Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mirii bas yahii ik du'aa hai KHudaa se ki jaa kar madiina na aa.uu.n mai.n KHaalii

Khwaja Shayan Hasan

MORE BYKhwaja Shayan Hasan

    mirii bas yahii ik du'aa hai KHudaa se ki jaa kar madiina na aa.uu.n mai.n KHaalii

    mirii aaKHirii ik tamannaa yahii hai ki dekhuu.n mai.n aaqaa ke rauze kii jaalii

    madiine me.n merii agar haazirii ho to shahr-e-adab se na phir vaapsii ho

    agar vaapsii ho to phir haazirii ho ye hai dil kii KHvaahish munaajaat-e-'aalii

    na mahtaab me.n hii vo raunaq milii aur na insaan ko.ii hasii.n un se dekhaa

    rasuulo.n me.n ahsan hai.n aaqaa hamaare vo husn-e-takallum vo husn-e-jamaalii

    mire dil kii dha.Dkan ko kaise milegaa sukuun aur raahat madiine se pahle

    ki dil me.n madiine kii tasviir hai aur zabaa.n pe hai naa't-e-shahanshaah-e-'aalii

    imaamurrusul kaa laqab paane vaale vo sidra se aage safar karne vaale

    mai.n ausaaf un ke kahaa.n tak bataa.uu.n KHudaa ne jinhe.n baKHshii siirat niraalii

    hasii.n kis qadar merii taqdiir hogii yahii mere KHvaabo.n kii taa'biir hogii

    qadam mere taiba kii jaanib ba.Dhe.nge zabaa.n par sajegii dardo.n kii Daalii

    karo zikr 'shaayaan' un kaa adab se ki miltaa hai in'aam darbaar-e-rab se

    ye zikr-e-nabii kii to barakat hai dekho mujhe log kahte hai.n shiirii.n-maqaalii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now