kis se maa.nge.n kahaa.n jaa.e.n kis se kahe.n aur duniyaa me.n haajat-ravaa kaun hai

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
kis se maa.nge.n kahaa.n jaa.e.n kis se kahe.n aur duniyaa me.n haajat-ravaa kaun hai
sab kaa daataa hai tuu sab ko detaa hai tuu tere bando.n kaa tere sivaa kaun hai
kaun maqbuul hai kaun marduud hai be-KHabar kyaa KHabar tujh ko kyaa kaun hai
jab tule.nge ’amal sab ke miizaan par tab khulegaa ki khoTaa kharaa kaun hai
kaun suntaa hai faryaad mazluum kii kis ke haatho.n me.n kunjii hai maqsuum kii
rizq par kis ke palte hai.n shaah-o-gadaa masnad-aaraa-e-bazm-e-'ataa kaun hai
auliyaa tere mohtaaj ai rabb-e-kul tere bande hai.n sab ambiyaa-o-rusul
un kii 'izzat kaa baa.is hai nisbat tirii un kii pahchaan tere sivaa kaun hai
meraa maalik mirii sun rahaa hai fuGaa.n jaantaa hai vo KHaamoshiyo.n kii zabaa.n
ab mirii raah me.n ko.ii haa.il na ho naama-bar kyaa balaa hai sabaa kaun hai
ibtidaa bhii vahii intihaa bhii vahii naa-KHudaa bhii vahii hai KHudaa bhii vahii
jo hai saare jahaano.n me.n jalva-numaa us ahad ke sivaa duusraa kaun hai
vo haqaayaq ho.n ashiyaa ke yaa KHushk-o-tar fahm-o-idraak kii zad me.n hai.n sab magar
maa-sivaa ek us zaat-e-be-ra.ng ke fahm-o-idraak se maa-varaa kaun hai
ambiyaa auliyaa ahl-e-bait-e-nabii taaba.iin-o-sahaaba pe jab aa banii
gir ke sajde me.n sab ne yahii arz kii tuu nahii.n hai to mushkil-kushaa kaun hai
ahle-e-fikr-o-nazar jaante hai.n tujhe kuchh na hone pe bhii maante hai.n tujhe
ai 'nasiir' us ko tuu fazl-e-baarii samajh varna terii taraf dekhtaa kaun hai

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.