ko.ii aalam me.n hu.aa aur na hogaa tum saa

naaz kartaa hai jahaa.n jab se hu.e tum paidaa
chashm-e-bad-duur tumhe.n husn bhii aisaa hii milaa
dekhe.n yuusuf to kahe.n salle-alaa salle-alaa
hai ye sab faiz tumhaaraa ki hu.e hai.n paidaa
aadam-o-jinn-o-malak lauh-o-qalam arz-o-samaa
aamad aamad kii jahaa.n me.n thii KHabar pahle se
muzda-e-maqadam-e-jaa.n-baKHsh masiihaa ne diyaa
tum ho vo mahr-e-risaalat ki mah-e-charKH-e-barii.n
ek u.nglii kaa ishaara thaa ki do Tuk.De hu.aa
qais-e-sahbaa.n se bahut guzre suKHan-daan-e-salaf
har zamaana me.n rahaa sher-o-suKHan kaa charchaa
KHusrav-e-mulk-e-suKHan ab bhii hai.n duniyaa me.n bahut
'miir'-e-saanii hai ko.ii ko.ii hai rashk-e-'saudaa'
ek par ek ko haasil hai faziilat lekin
na.at-goyaan-e-shahanshaah kaa darja hai ba.Daa
ko.ii 'hassaan'-e-arab thaa ko.ii 'hassaan'-e-ajam
ab hu.aa hind kaa 'hassaan' laqab 'aajiz' kaa

- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 41)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.