ko.ii shahar nahii.n shahar madiine ke baraabar

Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
ko.ii shahar nahii.n shahar madiine ke baraabar
har zarra vahaa.n kaa hai nagiine ke baraabar
jis din se vahaa.n kii hai mohammad ne sukuunat
yasrib hu.aa taabuut sakiine ke baraabar
jis maah-e-mubaarak me.n hu.ii us kii vilaadat
ho kaun mahiina vo mahiine ke baraabar
go nuuh kii kashtii thii ba.Dii lambii-o-chau.Dii
lekin na mohammad ke safiine ke baraabar
mujh se na kahe tuur kii ko.ii a'zmat-o-rif'at
kyaa masjid-e-nabvii ke hai ziine ke baraabar
haath aa.e jise KHaak mohammad ke qadam kii
rakhe vo kafan me.n use siine ke baraabar
ai salle-alaa us kii gul-andaamii kii kyaa baat
po.nchhe na gulaab us ke pasiine ke baraabar
phir umr-e-turaab us kii itaa.at me.n jo guzre
phir to ko.ii ne.amat nahii.n jiine ke baraabar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.