Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

lo merii KHabar bahr-e-qamar hazrat-e-sajjaad

Sheikh Idrees Chishti

MORE BYSheikh Idrees Chishti

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت مخدوم سجاد پاک (داناپور-بہار)

    lo merii KHabar bahr-e-qamar hazrat-e-sajjaad

    ho jald tavajjoh kii nazar hazrat-e-sajjaad

    jaataa nahii.n ik lahza KHayaal-e-shah-e-vaalaa

    hai dil me.n mire aap kaa ghar hazrat-e-sajjaad

    rizvaa.n bhii jo le jaa.e to na jaa.uu.n yahaa.n se

    sar meraa hai aur aap kaa dar hazrat-e-sajjaad

    hai kaan-e-karam bahr-e-'ataa zaat-e-mubaarak

    ho jaa.e idhar ik nazar hazrat-e-sajjaad

    kyuu.n kar na kahuu.n sham-e’-hariim-e-nabavii mai.n

    hai.n charKH-e-siyaadat ke qamar hazrat-e-sajjaad

    rakh le.nge ye mahshar me.n mirii aabruu be-shak

    hai.n bahr-e-shafaa'at ke guhar hazrat-e-sajjaad

    pahu.nchaa.e taa 'arsh sar-e-'izzat-e-sairdaa

    maujuud hai ye banda-e-dar hazrat-e-sajjaad

    Source :
    • Book : Diwan-e-Serda (Pg. 17)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now