maayuus saa.el ne jab ghar kii raah lii
maayuus saa.el ne jab ghar kii raah lii
aa.nkho.n me.n aa.nsuu the thii jholii KHaalii
itne me.n rahmat jhu.njlaa ke bolii
kyuu.n jaa rahaa hai tuu haath KHaalii
saa.el idhar aa phir maa.ng phir maa.ng
har dam hamaare fazl-o-karam kaa
jaarii hai dariyaa phir maa.ng phir maa.ng
hai vaj.h-e-taskiin ye be-qaraarii
zar aur zor se behtar hai zaarii
chhaa.ii hai tujh par rahmat hamaarii
haa.n chup na ho jaa phir maa.ng phir maa.ng
paidaa sikandar ko kis ne kiyaa thaa
haatim ke haatho.n se kis ne liyaa thaa
maayuus jaane ko kis ne kahaa thaa
ham ne to dene kaa va.ada kiyaa thaa
le haath phailaa phir maa.ng phir maa.ng
ham apnii shaan-e-kariimii dikhaa.e.n
terii muraade.n sab bar laa.e.n
tuu maa.ngtaa jaa ham dete jaa.e.n
haa.n chup na ho jaa phir maa.ng phir maa.ng
le bhar le 'amjad' kaasa havas kaa
ham bhii to dekhe.n hai zarf kitnaa

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 129)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.