machal jaa.egaa jab qadmo.n pe diivaana mohammad kaa

sa.nvaaraa jaa.egaa kausar se paimaana mohammad kaa
pa.Degii bai.at-e-piir-e-muGaa.n se jaan iimaa.n me.n
khulaa hai mai-kasho phir aaj mai-KHaana mohammad kaa
usii se vaasta rakhtaa ho nisbat jis ko haasil ho
muyassar us ko aa saktaa hai paimaana mohammad kaa
ham un aa.nkho.n ke qurbaa.n hai.n tasadduq un nigaaho.n ke
banaayaa dil ko jin nazro.n ne kaashaana mohammad kaa
jigar me.n soz dil me.n jis ke ho sham-e’-haqiiqat kii
yaqiinan us ko kah sakte hai.n parvaana mohammad kaa
saraapaa laa.e 'aks-e-dilrubaa aage nigaaho.n ke
na kyuu.n vo aa.nkh ho jaa.e jalva-KHaana mohammad kaa
nasiibo.n kaa bhalaa phir us ke ai 'manzuur' kyaa kahnaa
jo apne yaar kaa 'aashiq ho diivaana mohammad kaa

- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 36)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.