dil-kushaa hai ra.ng-o-buu aab-o-havaa sab se alag

Mahboob Gauhar Islampuri
MORE BYMahboob Gauhar Islampuri
dil-kushaa hai ra.ng-o-buu aab-o-havaa sab se alag
hai nabii ke shahar-e-aqdas kii fazaa sab se alag
zulf hai vallail to chashmaa.n maa-zaaG al-basr
chehra-e-sarkaar sharh-e-vazzuhaa sab se alag
puurii duniyaa me.n phalo.n kii manDiyaa.n to hai.n magar
hai madiine ke phalo.n kaa zaa.iqa sab se alag
aur bhii kuchh aurte.n makke me.n aa.ii thii.n magar
aap kii qismat haliima saa'diya sab se alag
jaal mak.Dii ban ga.ii anDe kabuutar de ga.e
ye bhii Gaar-e-saur kaa hai vaaqi.a sab se alag
Gusl dene ke liye utraa farishto.n kaa hujuum
hai.n shahiido.n me.n janaab-e-hanzala sab se alag
shaa.irii kii aur ka.ii ik mo'atabar asnaaf hai.n
haa.n magar un me.n hai sinf-e-na.atiya sab se alag
ham yahaa.n par bhii aa.e gauhar-e-na.at pa.Dhte hai.n magar
hai vahaa.n par na.at pa.Dhne kaa maza sab se alag

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.