muflis-e-vaqt ko sultaan ka.e baiThe hai.n

Mahboob Gauhar Islampuri
MORE BYMahboob Gauhar Islampuri
muflis-e-vaqt ko sultaan ka.e baiThe hai.n
saare a.alam pe vo ehsaan ka.e baiThe hai.n
qaabil-e-faKHr hai as.haab-e-payambar kaa amal
un pe qurbaan dil-o-jaan kiye baiThe hai.n
naam lete hai.n farishte bhii adab se un kaa
kaam vo hazrat-e-hassaan ka.e baiThe hai.n
mo.ajiza dekh ke buu-jahl ye kahtaa niklaa
ye to ka.nkar ko musalmaan kiye baiThe hai.n
rab ke mahbuub kii azmat jinhe.n tasliim nahii.n
kyaa KHabar kitnaa vo nuqsaan kiye baiThe hai.n
un ke mazmuun kaa har lafz anokhaa hogaa
ishq-e-ahmad ko jo unvaan kiye baiThe hai.n
kyaa hasii.n qaul hai me.araaj hai momin kii namaaz
yaad ye aap kaa farmaan kiye baiThe hai.n
kar ke tausiif-o-sanaa-e-shah-e-batha ham log
raasta KHuld kaa aasaan kiye baiThe hai.n
qabr kii miTTii unhe.n khaa nahii. saktii 'gauhar'
dil me.n mahfuuz jo qur.aan kiye baiThe hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.