Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kuchh kufr ne fitne phailaa.e kuchh zulm ne sho'le bha.Dkaa.e

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    kuchh kufr ne fitne phailaa.e kuchh zulm ne sho'le bha.Dkaa.e

    siino.n me.n 'adaavat jaag uThii insaan se insaa.n Takraa.e

    paamaal kiyaa barbaad kiyaa kamzor ko taaqat vaalo.n ne

    jab zulm-o-sitam had se guzre tashriif mohammad le aa.e

    rahmat kii ghaTaa.e.n lahraa.ii.n duniyaa kii ummiide.n bar aa.ii.n

    ikraam-o-'ataa kii baarish kii aKHlaaq ke motii barsaa.e

    tahziib kii sham.e.n raushan kii.n uu.nTo.n ke churaane vaalo.n ne

    kaa.nTo.n ko gulo.n kii qismat dii zarro.n ke muqaddar chamkaa.e

    kuchh kaif diyaa kuchh hoshyaarii kuchh soz diyaa kuchh saaz diyaa

    mai-kHaana-e-'ilm-o-'irfaa.n me.n tauhiid ke saaGar chhalkaa.e

    har chiiz ko raa'naa.ii de kar duniyaa ko hayaat-e-nau baKHshii

    sub.ho.n ke bhii chehro.n ko dhoyaa raato.n ke bhii gesuu suljhaa.e

    allaah se rishte ko jo.Daa baatil ke tilismo.n ko to.Daa

    KHud vaqt ke dhaare ko mo.Daa tuufaa.n me.n safiine tairaa.e

    makka kii zamii.n aur 'arsh kahaa.n dam bhar me.n yahaa.n pal bhar me.n vahaa.n

    patthar ko 'ataa goyaa.ii kii aur chaa.nd ke Tuk.De farmaa.e

    mazluumo.n kii fariyaad sunii majbuuro.n kii Gam-KHvaarii kii

    zaKHmo.n pe KHunuk marham rakhe be-chain dilo.n ke kaam aa.e

    'aurat ko hayaa kii chaadar dii Gairat kaa Gaaza bhii baKHshaa

    shiisho.n me.n nazaakat paidaa kii kirdaar ke jauhar chamkaa.e

    tauhiid kaa dhaaraa ruk na sakaa islaam kaa parcham jhuk na sakaa

    kuffaar bahut kuchh jhu.njlaa.e shaitaa.n ne hazaaro.n bal khaa.e

    ai naam-e-mohamaad sall-e-'alaa 'maahir' ke liye tuu sab kuchh hai

    ho.nTo.n pe tabassum bhii aayaa aa.nkho.n me.n bhii aa.nsuu bhar aay

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now