nuur-e-ahmad kii ziyaa aalii nasab zainab me.n hai

Mahmood Ahmad Rabbani
MORE BYMahmood Ahmad Rabbani
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت زینب بنت علی (دمشق-شام)
nuur-e-ahmad kii ziyaa aalii nasab zainab me.n hai
jazba-e-sher-e-kHudaa faKHr-e-’arab zainab me.n hai
ruKH ko baalo.n se Dhakaa hai aur nazar niichii kiye
kuufe kii galiyo.n me.n vo dekhaa adab zainab me.n hai
kaa.nptaa hai taKHt par baiThaa hu.aa zaalim yaziid
vo jalaal-e-sher-e-yazdaa.n KHaas ab zainab me.n hai
ghar luTaa kar bhii du'aa kartii hai.n ummat ke liye
jazba-e-iisaar-o-qurbaanii 'ajab zainab me.n hai
zikr un kaa kar rahe hai.n is liye ham baa-adab
diin-e-ahmad kaa sabhii ’ilm-o-adab zainab me.n hai
kar diye 'aun-o-mohammad diin par qurbaan KHud
jazba-e-maulaa 'alii bhii sab kaa sab zainab me.n hai
tarbiyat zahraa kii hai kirdaar se 'ahmad' 'ayaa.n
har 'ataa-e-mustafaa qur.aan-e-rab zainab me.n hai

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 324)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.