jalva-e-nuur-e-KHudaa sall-e-'alaa kuchh aur hai

Mahmood Ahmad Rabbani
MORE BYMahmood Ahmad Rabbani
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف-ایران)
jalva-e-nuur-e-KHudaa sall-e-'alaa kuchh aur hai
'azmat-e-maulaa 'alii sher-e-KHudaa kuchh aur hai
baa-KHudaa kuchh aur hii hai baa-KHudaa kuchh aur hai
shaah-e-mardaa.n sher-e-yazdaa.n kii adaa kuchh aur hai
piite hii vahdaaniyat ruuhaaniyat mil jaa.egii
mai-kasho maulaa 'alii kaa mai-kada kuchh aur hai
diin-e-ahmad kaa 'alii hai.n vo chamaktaa aaftaab
jin kii 'azmat aur ra.ngat aur ziyaa kuchh aur hai
hai zamiin-o-aasmaa.n sab par 'alii maulaa kii dhuum
do-jahaa.n me.n naam-e-haidar kii ziyaa kuchh aur hai
martabe aur masnado.n vaale yahii kahte hai.n bas
KHum ke member par 'alii kaa martaba kuchh aur hai
naqsh-e-paa paate hii 'ahmad' sarfaraazii mil ga.ii
baa-KHudaa maulaa 'alii kaa naqsh-e-paa kuchh aur hai

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 327)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.