Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nasiim-e-baaG-e-madiina un ko daruud pa.Dh kar salaam kahnaa

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    nasiim-e-baaG-e-madiina un ko daruud pa.Dh kar salaam kahnaa

    qasam hai sub.h-e-azal kii tujh ko meraa sandesa tamaam kahnaa

    merii mohabbat ke phuul chun le zaraa tham aadaab 'ishq sun le

    nigaah-e-haq se kalaam karnaa zabaan-e-dil se payaam kahnaa

    agar chale zikr-e-jaanisaaraa.n hariim-e-mahbuub-e-kiriyaa me.n

    to daur-e-uftaada dard-mando.n kaa sar jhukaa kar salaam kahnaa

    adab kaa daaman na chhuTne paa.e bayaa.n adhuuraa hii rah na jaa.e

    guzar rahii hai jo ham pe kahnaa magar ba-sad ehtiraam kahnaa

    nazar unhii.n kii badal sakegii hamaarii taqdiir ai payaamii

    har ek mushkil pe baargaah-e-habiib-e-'aalii maqaam kahnaa

    hai ye bhii mumkin shaah-e-dauraa.n hadiis-e-'ushshaaq KHud hii puuchhe

    Gariib-e-‘mahshar’ ke bhii hikaayat huzuur-e-KHair-ul-anaam kahnaa

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now