Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mai-e-mohabbat pilaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

Aminuddin Warsi

lagii ye dil kii bujhaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

ye kyuu.n sunaate ho lan-taraanii hu.aa huu.n mai.n to tumhii.n me.n faanii

mai.n jaa.uu.n kis jaa bataa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

fasaane kaise kahaanii kaisii sunaa hai jo kuchh sunaayaa tum ne

hikaayat apnii sunaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

hasīn jhaa.nse tumhaarii suurat aziiz jaa.n se tumhaarii muurat

hamaare dil ko manaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

aqiil saare-jahaa.n ke aalim pa.De jahaalat me.n hai.n pareshaa.n

hame.n sabaq tum pa.Dhaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

hu.aa huu.n diivaana ishq me.n ab tumhaarii suurat hai merii suurat

syaanaa mujh ko banaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

'amii.n' hu.aa hai rasuul-e-akram ye virsiyat hai tumhaarii pyaare

KHudaa kii suurat dikhaa.o saaheb tumhii.n ho vaaris tumhii.n ho vaaris

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now