mai.n aur merii jaan-nisaar-e-abul-ola
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت سیدنا امیر ابوالعلا
mai.n aur merii jaan-nisaar-e-abul-ola
ye sar ho aur sa.ng-e-mazaar-e-abul-ola
aa.nkho.n me.n phir rahii hai vo turbat shabaana-roz
hai dil me.n aashiqo.n ke mazaar-e-abul-ola
but kii kiyaariyaa.n use jaagiir me.n milii.n
jis ko milaa jvaar-e-mazaar-e-abul-ola
hai mere dil me.n nuur-e-mohabbat kii raushnii
raushan hai us me.n sham.a-e-mazaar-e-abul-ola
kis se bayaa.n ho jalva-e-shab lutf-e-roz-e-urs
ye roz-o-shab hai.n lail-o-nahaar-e-abul-ola
nuur-e-nigaah-e-mustafvii kaa hai kyaa jamaal
hai mehr-o-maah aa.iina-daar-e-abul-ola
un ko azaab-e-hashr se akbar milii najaat
naajii hai.n zaa.iraan-e-mazaar-e-abul-ola

- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 47)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.