Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai tum pe khulii qausain kii rah salvaate-mohammad sallallaahu

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    hai tum pe khulii qausain kii rah salvaate-mohammad sallallaahu

    adnaa me.n hu.e allaah vallaah salvaate-mohammad sallallaahu

    hai hamd-o-sanaa sab tere liye phir kis kii ko.ii taa'riif kare

    is baat kaa al-hamd gavaah salvaate-mohammad sallallaahu

    ek hii hai.n huduus-o-qidam dono.n taalib matluub nahii.n hai.n do

    iKHlaas hai jis kii shaan me.n vaah salvaate-mohammad sallallaahu

    haa.n tere sivaa ko.ii aur nahii.n ab dil ko hamaare hai ye yaqii.n

    saabit hai zardii-e-vaj.hullaah salvaate-mohammad sallallaahu

    'KHaadim' ne aa.nkh se dekh liyaa tab raaz ye sab par khol diyaa

    har shai me.n hai allaah allaah salvaate-mohammad sallallaahu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now