saare 'aalam me.n bas 'ayaa.n tum ho
saare 'aalam me.n bas 'ayaa.n tum ho
jism ham hai.n hamaarii jaa.n tum ho
jaan KHurshiid jism hai mahtaab
dono.n barzaKH me.n ai miyaa.n tum ho
ham ne dekhaa hai aa.iina me.n jamaal
merii aa.nkho.n se kab nihaa.n tum ho
Dhuu.nDhaa jab tum ko aap ko paayaa
kaun paave ki laa-makaa.n tum ho
miim ahmad me.n kis tarh the chhupe
uTh gayaa parda be-gumaa.n tum ho
kaun kahtaa hai tum ko harjaa.ii
be-nishaano.n ke baa-nishaa.n tum ho
kahaa KHaadim ne ye samajh kar ke
sabhii suurat me.n jalla-shaa.n tum ho
saare 'aalam me.n bas 'ayaa.n tum ho
jism ham hai.n hamaarii jaa.n tum ho
jaan KHurshiid jism hai mahtaab
dono.n barzaKH me.n ai miyaa.n tum ho
ham ne dekhaa hai aa.iina me.n jamaal
merii aa.nkho.n se kab nihaa.n tum ho
Dhuu.nDhaa jab tum ko aap ko paayaa
kaun paave ki laa-makaa.n tum ho
miim ahmad me.n kis tarh the chhupe
uTh gayaa parda be-gumaa.n tum ho
kaun kahtaa hai tum ko harjaa.ii
be-nishaano.n ke baa-nishaa.n tum ho
kahaa KHaadim ne ye samajh kar ke
sabhii suurat me.n jalla-shaa.n tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.