'ishq-e-nabii se 'arsh-e-mua’allaa banaa liyaa

dil apnaa ham ne un kaa madiina banaa liyaa
ulfat se ham ko kaam zamaane se kyaa Garaz
hai yaar kii KHushii hame.n jaisaa banaa liyaa
kis darja KHush-nasiib ye patthar hai.n raah ke
siine pe un kaa naqsh-e-kaf-e-paa banaa liyaa
dekhaa jo husn-e-yaar to KHud ko ba-sad niyaaz
mahtaab ne qatiil ishaara banaa liyaa
duniyaa KHafaa hai Gam nahii.n mujh ko KHushii ye hai
tum ne karam kiyaa mujhe apnaa banaa liyaa
qibla se phir ke bhii nahii.n baahar namaaz se
siddiiq ne rasuul ko qibla banaa liyaa
matlab nahii.n to Gair sage bhaa.ii ko kiyaa
matlab se apne Gair ko beTaa banaa liyaa
'mansuur' bhii 'fariidii' bhii mai.n aap ho gayaa
un ke karam ne jab mujhe banda banaa liyaa

- Book : Takhilat (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.