duKHtar-e-islaam paakiiza nasab zainab me.n hai

Dr. Mansoor Faridi
MORE BYDr. Mansoor Faridi
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت زینب
duKHtar-e-islaam paakiiza nasab zainab me.n hai
is liye lamhaat-e-Gam me.n bhii tarab zainab me.n hai
pusht par sajjaad ko laane kii himmat haa.n faqat
hifz nasl-e-ibn-e-haidar ke sabab zainab me.n hai
karbalaa taa shaam kuchh shikvaa na hai KHvaahish ko.ii
jaise dil ban kar faqat marzii-e-rab zainab me.n hai
jur.at-o-himmat vafaa iisaar aur sharm-o-hayaa
hai jo zahra-o-'alii kaa sab kaa sab zainab me.n hai
ghar ke luT jaane kaa kuchh shikvaa na hai aah-o-fuGaa.n
ik du’aa-e-sabr hai jo zeb-e-lab zainab me.n hai
baat ye jazbe kii hai jazbaat kii hargiz nahii.n
jazba-e-iisaar-o-qurbaanii 'ajab zainab me.n hai
bhaa.ii ke beTe pe qurbaa.n apne bachcho.n ko kiyaa
ai 'fariidii' fardiyat ye bhii Gazab zainab me.n hai

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.