rah-guzaar-e-'ishq kii har-gaam thii haalat 'ajiib

Dr. Mansoor Faridi
MORE BYDr. Mansoor Faridi
rah-guzaar-e-'ishq kii har-gaam thii haalat 'ajiib
aur musaafir ke musalsal shauq kii himmat 'ajiib
allaah-allaah shahr-e-taiba kii havaa.e.n marhabaa
maujzan nas-nas me.n ho jaatii hai ik jannat 'ajiib
un kaa dast-e-naaz KHud kaisii masiihaa.ii kare
dard-e-furqat ko milii hai yaad se lazzat 'ajiib
naqsh-paa-e-servar-e-kaunain ke bose liye
fikr ko miltii ga.ii har-har qadam rif.at 'ajiib
bazm-e-hassaa.n me.n ba-faiz-e-naa't KHatm-ul-mursaliin
sab shariikaan-e-suKHan ke dil me.n hai farhat 'ajiib
KHud fariidaan-e-zamaana bhii 'fariidii' kah uThe
naa’t kii KHidmat ne baKHshii mujh ko fariidiyat 'ajiib

- Book : Takhilat (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.