masto.n kaa aap ke hai ajiib matmah-e-nazar

karte hai.n sajda aap kii chaukhaT ko chuum kar
ye baargaah-e-husn adiim-ul-misaal hai
ruuh-ul-amii.n jhukaate hai.n is aastaa.n pe sar
aashiq KHudaa hai KHud bhii tumhaare jamaal par
saanii nahii.n tumhaaraa ko.ii shaah-e-bahr-o-bar
dekho jise hai taalib-e-diidaar aap kaa
laakho.n salaam aap pe yaa-sayyadal-bashar
nabiyo.n ke peshvaa ho KHudaa ke habiib ho
tum saa hu.aa na hogaa kahii.n ko.ii KHuub-tar
tum raunaq-e-azal ho tumhii.n husn-e-kaa.enaat
tum se hai faizyaab har aa.iina-e-nazar
'sattaar-e-vaarsii' hai yahii merii bandagii
na.at-e-rasuul-e-paak hai merii zabaan par

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 177)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.